Monday, October 10, 2011

Urdu Shayari, Urdu Nazm - NAWA E INSAANIYAT


Janab Abdullateef Qadri Sahab shahar aur zilaa Chiniot se Hain. App sabhi ke liye nazr hain inki ye Nazm.


Unwaan: NAWA E INSAANIYAT


Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi!

Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon!

Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul!

Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon!

Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani!

Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon!

Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki!

Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!"

--

Abdullateef Chinioti

Sunday, September 11, 2011

sad urdu ghazal, Urdu geet, Urdu Nagama - Main Yahan Hun.......

Pesh hai Ek Ghazal jis ka likhne wala main nahi hun, Maine kahin soni thi, umse thodi tarmeem bhi hai.

Main Yahan Hun,Yahan Nahin Hun main.
Koi Kehde Kahan Nahin hun Main.

Gar Koi ponche mujhe se mera pata thikana.
Main kahun, Zameen Par nahin hun main.

Kya koi de sakta hain mujhe ko meri khabar.
Kya iske bhi muatbar nahin hun main.

Sunday, August 28, 2011

Urdu Shayari, Urdu Nazm, Aduri Raat

Janab JITENDER BHATTI Saheb Ko Muhalihiza Farmaiye.

Likhte Hain.

Aduri Raat

Jab Bhi Jagta Hun Soya Sa lagta Hun Main.
Hosh Main tu hun Behush sa Lagta Hun Main.
Kyon Kissi ne mujh ko sataya hain.
Haste Haste Rota sa lagta hun main.

Adhuri raat hain sapne bhi adhure hain.
Adhuri raat hain sapne bhi adhure hain.
Jag Kar bhi Neend Main Chalta hun main.

Thursday, August 25, 2011

Urdu Shayari, Urdu Ghazal

Urdu Shayari, Urdu Ghazal


Kuch Dino Pehle Miss Muskan Ne Kuch Ashar Bheje the:

Pasand Kiye Gaye,

Lijiye Ab Ek Aur Ghazal Muhlahiza Farmaiye:

Muhabbat aur yeh aansoo

haseen thi zindagi meri
jab saath tumhaara tha
tab dharkan tum the 
ab adhoora hai dil mera

har ek aansoon mei mere
basti hai woh kasmon ki yaadein
cha gaya hai dil mei mere
tumhaari judaai ke andhere

aaj bhi yeh surkh aankhein
idher udher dhoondti hai tumhe
bina tumhaare saath ke
jee nahi sakti hu mei
--

Regards
Muskaan

Wednesday, August 24, 2011

Allama Iqbal Shayari

Allama Iqbal Shayari

Allama Iqbal Apne waqt ke bahut bade aur sofi munsh Shayar Guzre hain:

Pesh Hain Unke Kuch Chooninda Ashar.

1) Seetaron se age jahan aur bhi hain, Abhi Ishq ke imtihan aur bhi hain
Tahee zeendagi se nahin ye fazayan, yahan saikaron karawan aur bhi hain


2) Tun Shaheen Hain Basera Kar Pahadon Ki Chatanon main.
Nahi Tera Nasheman Kasre Sultani Ke gumbad par.

3) Amal se Zindagi Bantee hai, Jannat bhee jahanum bhee
Yeh khaki apnee fitrat mein na noori hai na naari hai


Tanz Shayari - Urdu Shair O Shayari

Tanz Shayari - Urdu Shair O Shayari


Wo Ajj Jo Bhaite hain Ajj Hukmaran Hu Kar.
Na Jane Kyon So Ja Jate hain Bezaban Hu Kar.
Koi Mar Jay Unko Koi Fikar Nahi.
Jabain Apni Bhar Lee Hain, Abro Kho Kar.


Kyon Hum Bhait Jate Hain Do Pal ke Baad.
Kyon Nahi Yaad Ata ye Zulm Kuch Pal Ke Baad.
Ajj Hain Chingari Jo man main liye hue.
Kyon Wo ghum Jati Hain Kuch Hal Ke Baad.


Kya Hoga Jab Sab Utt Kade Honge.
Desh Badle Ga Jab Sab Kade Honge.
Na Do Vote Kissi Nikamme Ko.
Denge Dua Jab Bache Bade Honge.

Thursday, August 18, 2011

Shayari SMS, Urdu Shayari SMS

Shayari SMS, Urdu Shayari SMS

Here are few shayari sms you can send through free sms sites.

Pesh Kidmat hain:

1) Najane kyon Khayal Ata Hain Mujhe.
    Jaise Ajj Se Pehle Dekha Hain Tujhe.
    Jaise bus kuch palon ki hi baat hain.
    Chod ke chal diya tha tu mujhe.

2) Chale Jayenga app se dor hu kar hum.
     Chupa lenge duniya se ye gam.
      Phir bhi gar yaad ayegi teri.
      Bilkul na hone denge ankhen apni num.

3) Aye kash koi jake unse ye khede.
     Unki yaad main su nahi paye hain hum.
     Karwaten badalte rahe raat bhar.
    Khaye jaa raha tha uski judaee ka gham.

4) Unki Khamosi main bhi ajeeb baat hoti hain.
    Koi kuch nahi kehte, par mulakat hoti hain.

Thursday, July 14, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Janab Ashraf Anjaan Saheb Ne Jawab Talb Kiya hain.


Likhte Hain:


baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...
Dil k veerane me baraat chali aati hai...

Hai bas itni si zamaane ko shikaayat hamse...
kuch b kehta hoon teri baat chali aati hai....
Varna tujhko mai jahaan me khuda banaa deta...
tujhse pehle khuda ki zaat chali aati hai...

Teri aagosh se bikhra hua mai khaar sahi....
tujhse nisbat to meri yaar chali aati hai...

ANJAAN katti hai yunhi charaagh aankho me...
baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...

Wednesday, July 13, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Ek aur shayara maheen hemani Peshe Kidhmet hain.


Likhti hain:


jab tanhai ne gher liya tha mera jiya
tab aaya banke koi dil ka diya
tanhai se pyar ki duniya mei le aaya
ishq ke rang mei khilke deewana bana diya

tabse aankhein dhoondti hai idher udher use
dil khoya rehta hai yaadon mei uske
raat aur din kiya hai bhool chuki hoon mein
bas uske khwabon mei khoyi rehti hoon mein

--

Muskaan  (22/02/      )

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher


Mulahiza Farmiye Janab Jamil Akhtar Saheb Ko.

jaag  ja aye gaafil sawera hua
door saare jahan se andhera hua
gam ka manzar pila dia to kia hua
rooh ko rula dia to kia hua

apni zindagi fena ho gaei teri chah main
ab bhi to lelo mujhe apni baah main

phir to gam ka manzar bhi suhana hoga
jab tere Aagosh main sona hoga

Tuesday, July 12, 2011

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher




Ek Naye Shayar Pappu Parihar Kehte Hain.

Khak Dil Mein Mila Diya, Ab Ye Kahtee Hai Kyun Sila Diya.
Gam Ka Manzar Kyun Pila Diya, Rooh Ko Meri Kyun Rula Diya.

खाक दिल में मिला दिया, अब ये कहती है क्यूँ सिला दिया |
गम का मंज़र क्यूँ पिला दिया, रूह को मेरी क्यूँ रुला दिया |

خاک دل میں ملا دیا، اب یہ کہتے ہے کیوں سلا دیا
گم کا منظر کیوں پلا دیا روح کو میری کیوں رلا دیا