Wednesday, November 19, 2008

Sad Shayari - Tanhayi Shayari


Sad Shayari - Tanhayi Shayari

Dor Kahin, Ek Piple ki Dehleez pe Bhite,
Hum Apne dil ke Sulgane Ka sabab Soch Rahe The

Jala Ke Chal Diye Hamara Dil
Wo Kyon, Ye Sonch Rahe the....

Kyon Kar bhaite Hum Mahabbat Bewafa se,
Hum Sonch Rahe the

Mazahiya Shayari - Urdu Sher

Mazahiya Shayari - Urdu Sher



1) Un se pocha Jo Chand Nikalta Hain Kis Tarah se
Apni Zulfon Ko Rokh pe Jatak Diya Ke Yun

2) Ya rab nigahe naaz par bhi kyon na ho licen
wo bhi to qatal karti hai talwar ki tarah.

3) Is dunya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya,
pairon mein janjire dali hatho mein kaskol diya,
jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaye,
jab koi iljam laga mujh par la kar dool diya,
ab chahe andhi aye ya phir toofan aye,
maine bas aahat payi aur darwaza khula chod diya.

Wednesday, September 24, 2008

Urdu Love Shayari - Urdu Love Ghazal

Urdu Love Shayari - Urdu Love Ghazal

tere batoon se jo khabi pothti thi roshni
tere itebar ne barha di thi chamak aur bhi

tera lehja tere shoki tere ilfaz tere gugtago
mere jine ki tamana barha dati thi khabi

ehsas kudgarzi jo ta mere nazon pe pala
tere vajod tere ehsas tere sochon ne use dabaya

man tu ta kudh main magan muje kia thi fiker kisi ki
tu ne jane kia kya main tuj main kho gaya

tere soch ko le ker phr kia kai na socha
tere naam se kahwab apna sajaya

phr howa kuch asa k shad koi rooth gaya
jo khawab ta who toot gaya

kisi ke itebar ne sach dekhlaya
ik lafz ne sub kuch bataya

jo ehsas ta dabaya phrse use jagaya
pehle roshni ko phr us ne gataya

itebar bin ha sab kuch la-hasil
hun ne kudh ko yeh samjaya

jaan se guzar kr hum ne jane kase
khawab apna kudh hi hai bolaya

ab phote chahe phr roshni
ni koi apna dil ko yeh samjaya

bas kuch ase hum ne dil apna
kisi ke nazoon pe hai gawaya

Friday, August 8, 2008

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......


Koi Dewar na dar rakhta hun
ghar ka ahsas magar rakhta hun

log rakhte hain charagon pe nazr
main hawaon pe nazar rakta hun

kyon na pathrou karen sab mujh par
sakh der sakh samr rakhta hun

ek nai simt janam leti hai
paon main apne jidhar rakhta hun

ye zamin cheez hai kya main Sabir
asmano ki khabr rakhta hun


--
Ayub Sabir

Thursday, July 17, 2008

Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal

Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal - Farq Sirf Itna Sa Tha



Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,
Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya….

Wednesday, June 11, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

Thursday, May 15, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari - Urdu Love Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari - Urdu Love Shayari



HaMaRi AdHoOrI KaHaNi


Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.

Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi..

Monday, May 5, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Romantic Urdu Shayari - SMS Urdu Shayari



meray dil main bi kuch kwahishain hain
mian bi bohut kuch teray naam pay sochna chahti hoon
aam bohut aam si lerki hoon
aur teray khwab jagti aankhoon say dekhna chahti hoon
main bi chahti hoon teray kuch lumhay faqt meray wastay hoon
aik ho manzil teray meray rastay hoon
kai baar main teay uthtay qadam rokna chahti hoon
bohut khamoshi hai kuch bolna chahti hoon
lakin
ik khuf terkay tualuk ka meray damangeer hai
meri aana meray kadmmon main peri zanjeer hai
kay khud ko kho ker kisi ko pana meri fitert nahi hai
bohut aam sahi main lakin yeh bi haisiiat nahi hai
kay khud ko kho to main ik lumha na jee paoon gi
tum gunnwah bi diya to chund din main behul jaoon gi
kay tum
chahat ho meri sherta.e. zindagi nahi ho
pehly kwahish ho mager aakhri nahi ho

Wednesday, April 30, 2008

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Mirza Ghalib - Har ek baat pay kehtay ho

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Mirza Ghalib - Har ek baat pay kehtay ho



Meri Ek "all time favorate ghazal" Listen and enjoy



These are the pics of my visit to Ghalib's Haveli and of red fort...with one ghalib's best known GHazal.

here are the lyrics and translation :

hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay (There are other poets in the world that are very good)

kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur....(they say but that the way Ghalib puts it, is something else..)


Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)




Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins)

Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai (when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins)

Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai (when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood)

chipak raha badan par lahu se pairaahan
hamare jeb ko ab haajat-e-rafu kya hai

(When my bloodied clothes are sticking to my body...What is the use of mending/darning my pocket then)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

Kuraidtay ho jo ab raakh justajoo kya hai (now why do u scratch these ashes..wat do u really want now)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak)


to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai (then on wat hope should i tell u wat is my wish)

to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai (then on wat hope should i tell u wat is my wish)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

Urdu Shayari - Hazaron khwahishen aisee By Mirza Ghalib

Urdu Shayari - Hazaron khwahishen aisee By Mirza Ghalib



A famous and beautiful ghazal from the magnificent drama 'Mirza Ghalib' by Gulzar. Sung beautifully by Jagjit Singh


Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Romantic Shayari



raat khwab mein humne ek nazara kar liya,
socha tha jis shaks ko use hamara kar liya....
poocha ke kahan thamega is "lover" ka safar,
to falak ke chand ne sharmakar aapka ishara kar diya

Wednesday, April 16, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Urdu Shayari - Love Hindi Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Urdu Shayari - Love Hindi Shayari



Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar Avi.... phir se dekhye

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher



kahan aa ke ruknay thay rastay,kahan morr tha bhool ja
jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja
wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja
wo jo bisat-e-jan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se hasool kia,usay mat bula usay bhool ja

Friday, March 28, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Sad Shayari - Urdu Sad Sher

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Sad Shayari - Urdu Sad Sher



meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna...

apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna...

raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna...

namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna...

zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
husan wallon ko inke charasaaz nahi karna...

khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna

Thursday, March 20, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal - Urdu Nazm

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal - Urdu Nazm



Yeah Ghazal Kuch Mujhe Chote hui guzri hai. App ki Nazr hai....

ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho

un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon
  1. ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho

Tuesday, March 4, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Kuch Pasandida Ashar

Urdu Shayari - Urdu Sher - Kuch Pasandida Ashar



Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.

Urdu Shayari - Urdu Sher - Muktalif Urdu Ashar - Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Muktalif Urdu Ashar - Romantic Urdu Shayari



1.hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur

2.yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur

3.abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

4.tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur

5.harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

6.hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_ fishaaN aur

7.marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

8.logoN ko hai KHursheed-e- jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

9.leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

10.paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur

11.haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai...

bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai...
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...

mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main...
kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main...
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha....
tumhi ko humne chaha tha, tumehe milte to accha tha...

Urdu Shayari - Urdu Sher - Dosti Sher - Dosti Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Dosti Sher - Dosti Shayari



~DOSTI~
~~~~~~~~~~~~ ~~

"DOSTI mosam nahi, keh

apni muddat pori karay orr

rukhsat ho jay,

DOSTI sawan nahi, keh

toot kar barsay or

tham jae,

DOSTI aag nahi, keh

sulgy bharkey or

bujh jae,

DOSTI aftab nahi, keh

chamkey or

doob jae,

DOSTI phool nahi, keh

khiley or

phir murjha jae,

DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch

toot jae to kuch bhi nahi........ ...

Urdu Shayari - Sad Urdu Sher - Judai Shayari

Urdu Shayari - Sad Urdu Sher - Judai Shayari



Main hun teray shehar ton duur jaa reha han,
Ho kay teri chup ton bass majboor jaa reha han,
Lai kay apni jaan nu siskday hoye kujh iss taran,
Teriyan yaddan daa lai kay noor jaa reha han,

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari



Yaar tera muskurauna khoob hai,
Vekh kay nazran churauna khoob hai,
Duur hoyi see jivein milna nahi,
Duur jaa kay paas auna khoob hai,
Hosh mainu hun apna reha nahi,
Mast nazran chon pilauna khoob hai,
Unjh tan bhavein har adaa katil teri,
Teer nazran day chalauna khoob hai,

Wednesday, February 13, 2008

#1 Valetine Day shayari - Valetine shayari - Valetine Day Sher

#1 Valetine Day shayari - Valetine shayari - Valetine Day Sher




nahi hoti baarish to patthar ho gaye hote,
yeh lehrate khet banjar ho gaye hote,
tere daaman ne saare sheher ko sailaab se roka,
warna mere yeh ansoo samandar ho gaye hote !

Valentine Shayari - Valentine Sher - Urdu Love Valentine Massage

Valentine Shayari - Valentine Sher - Urdu Love Valentine Massage



fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho

waada app kar gaye ke aaoge khwab meiN
mare khusi ke neend na ayee to hum kya karen!!


Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai

Wednesday, January 16, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Mohabbat Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Mohabbat Shayari



Mohabbat tark kee maine garebaan see liya maine
Zamaane ab to khush ho zeher ye bhi pee liya maine

Unhe apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai
Ki kuch muddat haseen khwabon mein khokar jee liya maine

Bus ab to daaman-e-dil chod do bekaar umeedein
Bahut dukh seh liye maine bahut din jee liya maine